English Quote Poetry
Enjoy the best John Keats Quotes at BrainyQuote. Quotations by John Keats, English Poet
Saturday, March 27, 2010
Bajuz apne lafzoo k khazane kholta kab tha
Click On Image For Large Size View
Bajuz apne lafzoo k khazane kholta kab tha
Wo aankhen sochti kab thee wo chehra bolta kab tha
Use khud ko ganwane ka hunar bakhsha hai kis rut ne
Wo apna aks gahre paniyon mein gholta kab tha
Main darta hoon ye fazle hijr ki sazish na ho warna
Wo apne qeemti aansu hawa mein rolta kab tha
Yaqeenan phot ti hain mastiyaan us ki adaao se
Wagar na ru ba ru us ke zamana dolta kab tha
Ghalt fahmi k saye darmiyaan bichte gaye mohsin
Main us ke samne har baat pahle tolta kab tha
(bajuz: siwa,illawa;aks:parchain;fazle hijr:judai ka karam;rolna:udana;ru b ru :amne samne;ghalt fahmi: misunderstanding)
Mohsin naqvi
intikhab e Nafees
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment