Ki hai dosti to dil se nibhana.
Dosti ki hai nibhaage ham pehle,
Koi museebat aayi to haath badaayenge,
Ham pehle, jindagee to ji lenge saath me,
Par maut aayi to jeeyenge ham pehale.
Dil ki galiyo me dhoonda to sunsaan paya,
Har mod pe dekha to kuch najar na aaya,
Chalte rahe aakele in anjaan raaho par toone
Wada karke bhi mera saath na nibhaya.
Ek pal me wo hamse rooth gaye,
Jo sajaaye the sapne wo bhi toot gaye,
Dafna kar aaraju aur hasrato ko aur
Ham bhi hamesha ke liye so gaye.
Bichad jaaye kabhi aapse ham to
Aankhon me hamesha hamara intajaar rakhna.
Faaslo se intajaar bada karte hai,
Intajaar se pyaar bada karte hai,
Saari jindagi khuda se sajda karo,
Tab ja ke tumhaare jaisa yaar mila karte hai.
Gile kaagaz ki tarah hai jindagee apni,
Koi jalta bhi nahi aur bahta bhi nahi,
Is kadar akele ho gaye hai aaj kal,
Koi satata bhi nahi aur manata bhi nahi...
Ishq mohabbat to hajaaro karte hai,
Gam-e-judaai se wo sabhi darte hai,
Ham na ishq karte hai, na mohabbat karte hai,
Bas aap jaise dosto pe marte hai.
Tumhe dil me chupaaye firte hai,
Ae dost meri jindagi ka doosra naam ho tum.
Mere rone ki hakeekat jisame thi,
Ek muddat tak wo kaagaz nam raha.
Galat nahi ki jamaane me laajwaab hai ham,
Sama sake na koi wo kitaab hai ham.
Har gam saha tere pyaar ki khaatir,
Har deewaar todi tere deedaar ki khaatir,
Ummeed mita di tumhe paane ki khaatir,
Aur tumne dil tod diya jamaane ki khaatir.
Aapka jalwa hi najar aata hai,
Har raat aasmaan par chaand ke bahaane,
Dosti me kitni sachaai hoti hai.
Hotho pe dosti ke fasaane nahi aate,
Saahil pe samandar ke khajaane nahi aate,
Udaane do pareendo ko shokh hawa me,
Phir lautkar college ke jamaane nahi aate.
Har mulaakaat tumase adhoori si rahi,
Har khushi main kuch kami si rahi,
Khwaab kya dekhe tumhaare hamne,
Neend ki aankhon se dushmani si rahi.
Tera pyaar aaj bhi mere dil me jawa hai,
Aur to sab kuch mil gaya mujhe jindagi me magar,
Tere pyaar ko aaj bhi tarse ye jism aur ja hai.
Har ghadi sochate hai bhalaai teri,
Haste haste ro padti hai aankhen meri,
Is tarah se sehte hai judaai teri.
Shaayad utna hi jitna ki behte paani me tikna.
Hamaare deewanepan ki bhi koi dawa nahi,
Bhaar deta hai patthar ke dil me pyaar,
Har ek ko nahi milati jindagee ki ye bahaar,
Kyonki ishq ka doosra naam hai intajaar.
Ibaadato ki tarah main ye kaam karti hu,
Sabse pehale tumhe yaad karti hu,
Khuda ne diya hai ye ishq ka noor,
Ye saltaanat main tumhaare naam karti hu.
Is kadar gam ne hame loota hai,
Aansu tak ne hamara saath choda hai,
Sabhi hai bedard yaha jamaane me,
Jise dil me basaaya usi ne dil toda hai.
Ab un raaho se gujra nahi jata,
Jaha baith kar unka intajaar kiya karte the.
Jinki yaad me ham deewaane ho gaye,
Shaayad unhe talaash hai ab naye dost ki,
Kyonki unki najar me ab ham pooraane ho gaye?
Khushiya thi na nasib me hamaari,
Phir bhi jeena sikha diya tumne.
Jinaki mohabbat sacchi hoti hai,
Magar dilo se pyaar karte hai.
Kabhi jazbaat to kabhi yaado ko dafan karte hai
Kabhi aansu to kabhi dard piya karte hai,
Mohataaj to nahi hai ham phir bhi aapke
Aane ka intajaar kiya karte hai.
Hamaari bas itani gujaarish hai ki
Hame bhi din me ek baar yaad karna.
Ye maasoom nigaahe meri aarju hai tu sada muskuraye,
Gam ke saaye rahe ham tak hi...
Tere aashiyana me hamesha bahaare hi aaye.
Kyon hame kisi ki talaash hoti hai,
Kyon dil ko kisi ki aas hoti hai,
Chaand ko dekho wo bhi to tanha hai phir bhi
Uski chaandni se roshan ye raat hoti hai.
Karni hamne khuda se kuch fariyaad baaki hai,
Hamne unse kehni kuch baat baaki hai,
Abhi mere dost ka SMS aana baaki hai.
Khushi mili has na sake, gam mila to ro na sake,
Aur jise paya use chaah na sake.
Fhitte muh tussi ithe we aa gaye.
Khuda na kare aapko koi gam mile,
Khushiya aur hasi hardam mile,
Gam jab bhi badh chale aapki or,
Khuda kare raaste me use ham mile.
Kitna hai pyaar unse ye hame pata nahi
Naaraaj hai wo hamse khafa nahi,
Ham jaante hai dil saaf hai hamara ham bewafa nahi.
Khamoshiya teri mujhse baate karti hai,
Meri har aahat har dard samajhti hai,
Pata hai majboor hai tu bhi aur main bhi,
Phir bhi aankhen tere deedaar ko tarasti hai.
Koshish bahut ki dil ko samajhaane ki,
Aankhon ko kasam di so jaane ki,
Bahut samajhaya phir bhi aankhen nahi soyi,
Soyi tab jab maine baat ki aap ke khwaab main aane ki.
Dost samundar se fareb mat karna,
Tu kahe to kinaare pe doop jaau main.
Aaj yaar, kal pyar, parso ikaraar,
Ek phir deedaar phir intajaar,
Phir inkaar, phir daraar, aur saari mehnat bekaar...
And one more devdaas at beer bar.
Ae mere dost! mere marne ke baad sirf aansu hi bahana,
Meri yaad aaye to mere peeche na chale aana,
Yahi bahut dukhi kar liya hai waha mat satana.
Aap ko khone ka har pal dar laga rahta hai,
Ki mere saath mera saya bhi nahi.
Aap har manjil ko mushkil samajhate hai,
Ham aapko manjil samajhate hai,
Bada fark hai aapke aur hamaare najariye me,
Aap hame sapna aur ham aapko apna samajhate hai.
Aapko mile jindagee ki har khushi,
Bhale hi us khushi me ham ho na ho.
Aankho ki jubaan samajh nahi paate,
Hoth magar kuch kah nahi paate,
Koi hai jiske bin ham rah nahi paate.
Badi gahraai se chaha hai tujhe,
Tujhe bhoolane ki sochu bhi to kaise,
Kismat ki lakeero se churaya hai tujhe.
Beete yaado me na dhoondo hame,
To on karo apna mobile, inbox me ham mil jaayenge.
No comments:
Post a Comment