English Quote Poetry
Enjoy the best John Keats Quotes at BrainyQuote. Quotations by John Keats, English Poet
Monday, November 1, 2010
Chale the yaar badi zuam mein hawa ki tarah (Urdu Text Poetry)
Chale the yaar badi zuam mein hawa ki tarah (Urdu Text Poetry)
Palat ke dekha to baithe hain naqshe paa ki tarah
Mujhe wafa ki talab hai magar har ik se nahi
Koi mile magar us yaar-e-bewafa ki tarah
Mere wajood ka shahra hai muntazir kab se
Kabhi aa jaras ghuncha ki sada ki tarah
Thahr gai hai muhbaat kahaa aa ke muddat se
Na ibtida ki tarah na intiha ki tarah
Wo ajnabi tha to kyun mujh se pher kar aankheyn
Guzar gaya kisi dirina ashna ki tarah
Faraz kis k sitam ka gila karye kis se
Ki be niyaaz hoi khulq bhi khuda ki tarah
Ahmed Faraz
(zuam : ghamand ; naqshe paa : pair ke nishan,foot print ; jaras : wo baja jo qafile ki rawangi k waqt bajaye jata hai ; ibtidaa : starting ;intiha : ending ; dirina ashna : purana jan pahchan wala ; khulq : allah ki makhlooq)
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment