English Quote Poetry
Enjoy the best John Keats Quotes at BrainyQuote. Quotations by John Keats, English Poet
Friday, December 28, 2012
*1596...Pyaar K khameer Se...Pak Old*
*1596...Pyaar K khameer Se...Pak Old*
Har aadmi alag sahi
Magar umang aik hay
Juda juda hain surteen
Lahou ka rang aik hay
Tumain jo yeh libas hay
Bohot azeez dostoo
Haqekton ko dhanpne ki
Hay yeh cheez dostoo
Yahan wagar na har kisi
Ka naam_o_nang aik hay
Woh geet sun raha houn main
Nagar nagar main aaj bhi
K jis ki laye pe jhoom uthe
Yeh sang dil samag bhi
Khere hain jitne zamzamen
Sabhi ka ang aik hay
Bani hay sari kainaat
Pyar k khameer se
Na aey agar tumeen yaqeen
To pouch lo zameer se
Zameer ki har ek sada ka
Rang dhang aik hay
Yahan har ek shaks ka
Buland tar muqaam ho
Mitain dilon se nafraten
Sabhi ka ehtram ho
Is ehtram k liye hamari
Jang aik hay
Post By: Saba Sayed
No comments:
Post a Comment
Newer Post
Older Post
Home
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment