Click On Image For Large Size VIew
Ajnabi khawahish seene mein daba bhi na sakoon Aise ziddi hai parinde ki udaa bhi na sakoon
Phoonk daloon ga kisi roz main dil ki duniya
Ye tera khat to nahi hai ki jala bhi na sakoon
Meri gairat bhi koi shai hai ki mahfil mein mujhe
Us ne is tarah bulaya hai ki ja bhi na sakoon
Phal to sab mere darakhtoon ke pake hai lekin
Itni kamzoor hain shakheen ki hila bhi na sakoon
Ek na ek roz kaheen dhondh hi loonga tujh ko
Thokareen zahar nahi hain ki main kha bhi na sakoon
Rahat Indaori
(Khawahisheen: chahat,gairat:self respect;darkhtoon: trees; shakheen:branches of trees)
No comments:
Post a Comment